
Shree Hanuman Dashak
(composed by Sadguru Swami Basantram)
Sankat har sukh deta hai, Pavan tanay Hanuman
Ram bhakt Bajrangbali, budhi bal gyan nidhan
Baal pan mein surya ko , gras liyo Hanumant
Devan ki Sun Vinay ko, kasht harey balvant
Bali ke bal se chhipey, giri main jaa Sugriv
Marva Bali Ram se, keen sukhi nij peev
Lakh chinta main sain ko, kaha Tarkeshwar tair
Par gaye tab Sindhu se, kasht hara sab ker
Sursa ka mad choor kar, puni kankan ko maar
darsh Vibheeshan ko dikha, pahunchen bagh manjhar
Vireh vyakul samay jab, maangee rukh se aag
Shok hara tab siya ka, de mundari pag laag
Bagh ujariya Akhenaten hun, deeni Lanka jar
Deena dheeraj Ram ko, aakey Pavan Kumar
Lakshman moorcchit jab bhaye, laye vaidya sushenu
La deeni sanjeevni, Lakshman paya chaain
Naang phas main phas gaye, Ram sahit sab veer
Hanumat laye garur ko, kati sab ki peer
Ram Lakshman ko le gaye, ahiravan pataal
Maare saein sahit tinh, deena sukh vishal
padhat dashak hanumant ka, jo jan man chit laye
“Basant” take kaaj sab, sidh Karat kapiraey